letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de haasil - farhan khan & mr. doss

Loading...

[intro]
yo doss. what’s good?

[chorus]
jo dil mai wahi zubaan pe hazir
janta jo sab wo hai rab khuda wahid
bakshi hai izzat or rehmat bhi n-z-l
ab apno ki khushiyon ko karna hai haasil
yeah
ye khwabon ki tabeer
na batein kitabi gulami se bahir
apne mai dar se hi ho chuka farikh
hai barish toofani par milna hai saahil se

[verse 1]
jitni marzi khuda azmaale
sapne toote par hum lete rahe khwabgah pe
mai unki khushi mai hun khush jinse raabta hai
or jo hain ghair unhe bhi tu maula asra de
bhara hai pet meine thaukrein hazar kha ke
dard-e-dil mera ye dawaa mange
kaati hain andhere mai bahar ratein
ab pochni hai ghar ki tamaam ankhein
jo na kiya tho dozakh bhi karde haram khuda
nikla jo dilo se tho kya manzil or maqaam khuda
tujhse milne se pehle bharne de udaan
fir mai marke letunga do gaz mai lеke bas imaan khuda
jo mujhe dekhе tho walida muskurade
mere tu khushi ke pal churake unke gum bhulade
tu chahe jab bulale par mujhko ye pata hai
ye maa ki hai dua jo hun salamat mai khada
[chorus]
jo dil mai wahi zubaan pe hazir
janta jo sab wo hai rab khuda wahid
bakshi hai izzat or rehmat bhi n-z-l
ab apno ki khushiyon ko karna hai haasil
yeah
ye khwabon ki tabeer
na batein kitabi gulami se bahir
apne mai dar se hi ho chuka farikh
hai barish toofani par milna hai saahil se

[verse 1]
sameta khudko toot ke
pahad kitne jhoot je falange
kadwa zaika sach ka pita hun ghoot mai
bhadta aage taki gharwale na bethein rooth ke
khushi ki mehek se behtar na khushboo kisi oud mai
zamana hasta kamzoro pe ye unki bhool
bante sakht jese pathar lekin pathar jaate doob
khuda do chizen bas chahta ek tu or tera mehb00b
zameeno ke ye sab khuda mujhe lagte hain behroop
tu bacha le kalakari ko mera mazhab bana de
mere zariye se kuch esa likh jo sune muskurade
hai mohabbat sunne walo se wo apne lagte maula
unke dilon mai sukoon gharme barkatein pohuncha de
kehte rabb ki batein karta khali gaane mai
jab banda khuda se mil g-ya tho kya bacha is zamane mai?
likhe hue kagaz bichana mere janaze pe
talasha khuda mila mujhe shayeri tarane mai
[bridge]
tu mujhe gaane de
mujhe ye geet gunguna de
dhundha hai zamaane me
khuda mila lekin shayeri tarane mai
tu mujhe gaane de
mujhe ye geet gunguna de
dhundha hai zamaane me
par khuda mila mujhe mere shayeri tarane mai

[chorus]
jo dil mai wahi zubaan pe hazir
janta jo sab wo hai rab khuda wahid
bakshi hai izzat or rehmat bhi n-z-l
ab apno ki khushiyon ko karna hai haasil
yeah
ye khwabon ki tabeer
na batein kitabi gulami se bahir
apne mai dar se hi ho chuka farikh
hai barish toofani par milna hai saahil se

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...