letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de sajda 2 - farasat anees & hashim nawaz

Loading...

[verse 1]
mai kon kahan kab kaise
wo jagah banjar ab bashar jahan the kal rehte
hai itna paaya zakham dete phir ye gham kaise?
jo samajh aaya na usse ham jaise dard kehte
mai gunahgar mera tann khaali mann khaali
par uska parda bhaari uspe kya likhun kahani?
kahan looti jawani?
kahan ruka likhari?
bachpan se dekha lekin ab hoti hai kyu hairaani?
ha
bolo tum janam din ki ahmiyat kya?
jo aqal umar se jodhe to honi khairiyat na
thikana qabar hai tera ibadat kar le ghaafil
agar tu paida hua musalmaan marna nai kaafir
phela di chadar usse le ke jaana thoda ration
izzat karega jiski wo hi to sunega bhashan
mai apne waqt se hun aage aur hai waqt dhokha
dikhawa shamil hota khushi ho ya chahe matam
mai apne aap se mukhatib
apne zaat ke muqabil
apne aap ke mukhalif
aur hai waar karna laazim
mere baat pe hi jaana zahid baat se bas hashim
nahi auqaat tabhi to auqaat se hun baahir
mera wajood kya? bol
wazan baaton me hai saboot kya? tol
qasam khaata nai beqasur
jazbaati baaton me ye aa jate hain na jaane kyun?
bola inka karu kya?
rapper ki baaton se hona mutaasir
rapper se nahi
meri koshish lagu munafiq apne records pe nai
ana ke aage lajawab
wo sawaal karti ki
jo baat izzat de wo kya hoti wo ghairat pe bhi?
[pre-chorus]
hashim tu sar jhuka le
jaanta tu na jaane
sajdon se milta kya hai
badla dega rabb bula ke
ha
insaan samajhta nahi hai
dhundhe raaton me subah ko
raaten jaag lena
jaane upar wala kab sulah de?

[chorus]
tu na jaane (na jaane)
tere mann me hai kya?
tu kahan hai? (kahan hai?)
kinn raston pe chala?
tu ne khoya sab kahan?
tu ne paaya kya pata?
tu ne khoya sab kahan?
tu ne paaya kya pata?
tu na jaane (na jaane)
tere mann me hai kya?
tu kahan hai? (kahan hai?)
kinn raston pe chala?
tu ne khoya sab kahan?
tu ne paaya kya pata?
tu ne khoya sab kahan?
tu ne paaya kya pata?
[verse 2]
zinda samjha khud ko banda par ye so raha hai
aankhein ye kholega jis din hai isko aani maut
mai gunahgar kaise waliyon ke naam lu?
amal kare kaise, kare baaton pe jo khaali ghor?
ha
mai banna chahta apne baap jaisa
par aise lagta jaise banne laga apna pyaar paisa
sukoon deta hai phir karta be araam paisa
shayad mausiqi se kamaya jo haram paisa
ha
mai banna chahta apne baap jaisa
par lagta ye chahat rahegi adhoori
kitne sawaal le ke chalta apne baare me
jaisi kya gharwalon ki khwahishen kabhi karunga poori?
karati dunya ghoori
kaisa mai dekhun neeche?
kaise mai rahun aaj-z duniya jab ye taange kheenche?
bharosa khud pe na raha auron pe karu kaise?
they say they got my back
lekin ab dekhu mai peeche
mai udaas mere rabb mujhe himmat de
khud ko behtar karne ki thodi si fikar de
kahi ye naimaten teri mujhe bigaad na de
mai na iss qaabil bas tu mujhe apna zikar de
ha
aamad hoti jaati aur ye qalam likhta jaata
kala khareedar bani kalakaar bikta jaata
hai bartan toota mera phir bhi liye phirta mai
saqi bharne aata par hai jaam neeche girta jaata
acchi ummeedein tayyari bure anjaam ki
insaniyat ko seekh karna baat phir islam ki
chahu mai dil jo soche bole wo zabaan bhi
mere jawabon ke lekin bane sawaal nai
[pre-chorus]
hashim tu sar jhuka le
jaanta tu na jaane
sajdon se milta kya hai
badla dega rabb bula ke
ha
insaan samajhta nahi hai
dhundhe raaton me subah ko
raaten jaag lena
jaane upar wala kab sulah de

[chorus]
tu na jaane (na jaane)
tere mann me hai kya?
tu kahan hai? (kahan hai?)
kinn raston pe chala?
tu ne khoya sab kahan?
tu ne paaya kya pata?
tu ne khoya sab kahan?
tu ne paaya kya pata?
tu na jaane (na jaane)
tere mann me hai kya?
tu kahan hai? (kahan hai?)
kinn raston pe chala?
tu ne khoya sab kahan?
tu ne paaya kya pata?
tu ne khoya sab kahan?
tu ne paaya kya pata?

[outro]
farasat on the beat

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...