letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de khwaar - farasat anees & hashim nawaz

Loading...

[verse]
i need to stress less, rap more
abhi bhi hain log jou kehte hain rap chhor
abhi bhi hain woh karte sawalaat jou
par kaafi hain jou sunte mujhe
kehte khair bol, khair—
aane walay dour may naa
ladne walay dorrtay naa
baatein zyada karne walay sunte zyada ghor se naa
mein abhi bhi mujahid, ab bhi hunga haazir
naa maqsad puchunga mein jab banunga qaatil
aur goli lagne pe banun ga ek shaheed
bashar kya janay kahan se laaye daleel
hum khudse jhoot bolein, rakhein phir umeed
ke uper waala hum jaison ke aayega qareeb, huh!
sadaqat mere rap may hai, baaton may naa
munafiq nikla jou mein, mujhe maanoge kya?
tum mujhe judge karo mere gaano se naa
karo mujhse pyaar jaana, karo merе piano se naa
tum ho gunahgar, aur mein tumse kam nahi
hum hanstay rеhte jaise dekhe kabhi ghum nahi
kat’te hain saal yahan, kat’ta ek pal nahi
lag-ya shughal yaara, laga apna mann nahi, huh!
andhera hai, har taraf andhera hai
ab lagta ke ab zyada tension leta mein
jitni ho mehfil saji utna he akela mein
ab ban sanwar ke aukha wela jhela mein
tu aukha hoke saukha ho si
puttar je himmat kiti ajje kal nu chorra ho si
daadi maa boli “puttar tennu naiyo dena loki”
“zindagi ditti jisne izzat vi ay denda ohi”
mein ban’na chahta like i used to be
nahi mein badla zyada, jani mujhe bhool tou nahi
kabhi tou aajaya kar, mein koi itna door tou nahi
pindi’s finest, mere jaisa mujhe dhoond ke deyin
par mein naa bolun ga yeh
bro, i let the streets talk
yeh karte shor zyada
so, i keep my beats on
likhra rhymes on my phone, naa kar text yaara
started loving hoes, tabhi yaad aati ex zyaada
maangun mein blessings
jaise unn par haq hai mera
representing sheher, jaise poora pindi ghar hai mera
rabba yeh banda tera
mushkilon may phansa hua
tu ne diya rizq bohat jispe zikar kam hai tera
apni ghaltiyon ke andar tujhko dhoondta mein
subah tujhe yaad karta, shaam ko phir bhoolta mein
yeh awaazein naa samajh aane wali
kabhi azaad banda, par mohtaaj ghuroor ka hai
aasan manzilein hain, safar rakha mushkil
aabad kiya khudko, raha lekin buzdil
mein tou nahi jaanta hun, bolo milay tum kis
hashim se ho, pata bolo, nahi meri khata tolo
nahi mujhse anaa jorro, nahi mujhe bada bolo
dunyavi deen-daar banday mujhe bana dono
insano ke haathon may insaano ki taqdeerain hain
kaise bhala likhta jou mein banjati woh tasveerain hain?
meri inn baaton ka koi matlab nahi hai, maqsad nahi hai
agar mein ruka naa tou rap hona khatam nahi hai
yeh kala uper walay ka hai karam mere uper
yeh karam naa ho tou phir chalta apna qalam nahi hai

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...