letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de hadsa - ekatra

Loading...

[intro]

check! check one, yo!
aawaaz aari hain?
meri aawaaz aari hain?
ahaaa..
nahi aari to volume tez kar lo
ekatra…

[verse 1]

main roz karu kaam, without any aaraam
ye kaagaz bhi bolte hain bhai keep calm
aakhe meri laal jaise soya naa main raat
ek joint he to mara tha maine aaj shaam
umeed meri kalam se ye badlegi takdeer meri
har gum mera shayad mujhse ye to cheen legi
maine koi dheel na ki, kisi se bhi deal na ki
log aaj-kal bolte hain, “bhai gaane mai wo feel ni aari”
ladkiyo pe gaane sunne ka inko shok hain
saalo tum he b-n-lo mujhpe to rok hain
mic ke samne ye saare hote chock
fir kyu tum bolte ho yu seena thok ke
ab main production anadiyo se seekhoon kya..
nukkad pe khade londe kehte khud ko producer
aana kbhi studio mein, magar muh dhokar
sar chakra jayega daw he dekhke screen par
ab gaana feel kar, chote message seen kar
aasmaan main kya dekhta hai? main rehta hoon zameen par
naam tu zaleel kar, uccharan to thek kar
ek-tara bolte hai saale ekatra ko dekhkar
ye padhe likhe gawar hain jo gyan mujhko dete hain
unmai se hoon main jo baato se he lete hain
upar uthna chahe to ye unko bhi dabate hain
kayi kekde aise mere sehar main bhi rehte hain
tune kabhi dekhe hain?
mujhse roz milte hain
haalat hain fakeero si or ladki leke firte hain
naam bade inke hain, darshan chote dikhte hain
gawar hain saale londe ye kal ke hain
halke hain saale jazbaat or sabar se
sochte hai inki zabaan ek rubber hain
akele nahi ho tum is choti si duniya main
shayad abhi tumko humri na khabar hain
kasar na chorunga shabdh mere amar hain
meri kuch baato ka mujh par he asar hain
ghisad-ghisad ke in panno mai kalam, ubhar aati hain kala
without any color. yeah!
jaanu naa kon, khud se he sawal kiye
khud se he jung meri, wo bewjha he bahr khade
aadhe se zyada mere rap to raddi mein pade
main to phir bhi kam, ye mujhse zyada chidchide
sar chadhe hain aise ke nikalte roz panno pe
jaise ko jaisa bolu ab shabdh lagte manto ke
ghanto se hain ladai meri waqt kat-ta minto mein
ye koi mazak na hain, zindgi jhoku shabdho mein
mere karmo mein bus kaam likha, din-raat diye maine kaam ko
mere kaam ki lat se jal padi kuch logo ki ab ass too
ho fans do, ek meri lekhni, duje or wo panne ho
or kuch mujhe chahiye na meri kala mere saath ho

[chorus]

mai hadsa hoon ghatne ki aadat hai
(aadat hai, aadat hai, aadat hai)

mai hadsa hoon ghatne ki aadat hai
(aadat hai, aadat hai, aadat hai)

mai hadsa hoon ghatne ki aadat hai
(aadat hai, aadat hai, aadat hai)

aadat to aadat hai upar se meri bhi yhi to chahat hai

mai hadsa hoon ghatne ki aadat hai
(aadat hai, aadat hai, aadat hai)

mai hadsa hoon ghatne ki aadat hai
(aadat hai, aadat hai, aadat hai)

mai hadsa hoon ghatne ki aadat hai
(aadat hai, aadat hai, aadat hai)

aadat to aadat hai upar se meri bhi yhi to chahat hai

[verse 2]

is sadak ke mod se main aaj mud chuka hoon ha
mere in lafzo se main aaj jud chuka hoon ha
wo jo aag thi wo mujhmai he to kholti thi
dekh us khaakh se main aaj uth chuka hoon ha
firta isi bheed mein, na dikhta tha kisi ko
aaj usi bheed mein main akela dikh raha hoon
wo jo saath they sab chor gye mujhi ko
do hazar tehra (2013) se akla likh raha hoon
kodiyo ke daam pe main fir bhi bik raha hoon
road show pe gaane gaate bhi mein dikh raha hoon
log samajhte hain, mein moj mein rehta hoon
par wo kya jaane har din aaj bhi mein ghis raha hoon
likh raha hoon soch meri, khoj mein lagi hai meri
dekh meri karigari, buddhi fir gyi hai teri
teri un tijoriyo se maal nikal raha harry
behaal sa tu fir raha keh rhai hai halat teri
roz teri, kehke leri
tere liye ghadi na tehri
tu jala padi dopehri
banke firta tooth fairy
aaene mai shakal teri
khud ye kehri, so scary
fir bhi tu laga pada hain
karega tu copy meri
main to koi badi hast bhi na hoon
sadko se seekha, galiyo mein ga raha hoon
log to baat banate, banane do
bachapan mein seekha, aaj aazma main raha hoon
kya-kya likha maine tujhko batau kya..
ek-ek line ab padh ke sunau kya?
kuch saal pehle jab ghis raha tha
tab tu kkaha tha? ab wapas doharau kya?
picture na ye zindgi meri
forward main rehta, reverse gear nahi
jo aaye life mein unki jagah bhi wahi
mujhe koi parkhe aisa johri he nahi
logo ko dikkat badi mere guroor se
abey! mehnat kri kyo na ho guroor ye
har din lada apne wajood se
fir payi kal sun kaan khol ke
log faltu bolte meri kala mein shor hain
tandav sa prachand mera krodh hain
aakrosh in aakho mein ghanghor hain
tere jaise na ho uske liye he to nirodh hain
ye mera virodh hai har shabdh mera thappad
sakht mein bana apni galiyo mein ladkar
aaj mein khada mere wajood mein hain dum par
mummy kehti soja beta mehnat thodi kam kar
has kar, mein jalata apne hater’o ko
chode main kehta, aao beta mujhko roko
lao koi naya rap, aarop koi mujhpe thopo
angreji se hindi mein aate ab ye rapper dekho

[chorus]

mai hadsa hoon ghatne ki aadat hai
(aadat hai, aadat hai, aadat hai)

mai hadsa hoon ghatne ki aadat hai
(aadat hai, aadat hai, aadat hai)

mai hadsa hoon ghatne ki aadat hai
(aadat hai, aadat hai, aadat hai)

aadat to aadat hai upar se meri bhi yhi to chahat hai

mai hadsa hoon ghatne ki aadat hai
(aadat hai, aadat hai, aadat hai)

mai hadsa hoon ghatne ki aadat hai
(aadat hai, aadat hai, aadat hai)

mai hadsa hoon ghatne ki aadat hai
(aadat hai, aadat hai, aadat hai)

aadat to aadat hai upar se meri bhi yhi to chahat hai

[outro]

mein tab tak he accha…
jab tak ye duniya mujhe rehne degi

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...