letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de rona mat maa - chen-k

Loading...

[verse 1]
pata nahi kyun loag pare peeche is faqeer ke?
bhae “nadir gaane banaade tu kashmir pe”
kyun? kya tum logon ke margae zameer yeh?
kyun nadi rhi roe? kyun hoe zaleel yeh?

main aur tum karen jitni tehqeeq yeh..
apni bandiyon ki nangi tasaweer pe
us se kam bhi karoge tehqeeq
tou be sach khara saamne nanga bezameer yeh

ameer ya ghareeb, hame dikhta nahi?
syaasatdaan koi bhi farishta nahi
koi bhi mulk se kisi mulk ka rishta nahi
hatihyar croron me bikta bhae

dikhta nahi, yeh khel saara paison ka
dekh jaake manzar chaaron jangon ka
ek jesa saanwla sa rangg khaalon ka
ek jaisa roag tha saheedon ki maaon ka..

maaen roen, aurten jawan bewa
burhe baap se jang cheene jwaan beta
parhe likhе ek doosre ko galiyan den waah!!
kе kaunsi jang hind ya pak jeeta!
tabah dono mulk meri nazar mein
dono mulkon ki qurbaaniyan gatar mein
gaaliyan den ya jab bhi hum dono ladte
gair mulk arbon me jeben bharte

karwe sach tou bolna mera kaam hai
pak pe atankwaad ka ilzam hai
pak ya hind ka rishta haraam hai
jab tak arnab jeson ki zabaan hai

aur kya hai na ke, meri maut kareeb hai
per maut ka dar nahi, wo rabb ne likhdi hai
per dukh is baat ka bhooljaenge mujhe bhi
jaise bhoolgae shalkal om puri ki yeh tou..

[chrous]
kal maa agar ghar par aae kafan mera
kalma parh kar j-sm ho dafan mera
aabe zam zam chirakdein chaadar pe
aansu tere giren qabar pe na

kal maa agar ghar par aae kafan mera
kalma parh kar j-sm ho dafan mera
sach pe marna jihaad, shahadat hai!!
aansu tere giren qabar pe na!
[verse 2]
jihaad se yaad ai ek cheez mujhe..
kya mere hare jhande se takleef tujhe?
agar mulk dekh ke bole ghalez mujhe
tou tu lage hindustni bhau marezz mujhe

zameen se mujhe kisi ke masla nahi
pala bara pak me hath me asla nahi
hasna nahi
per bjp ke 30 crore ka ghulam chela arnab ghoswami

smjhta nahi kyun koi?
dehshat gardon ka nahi mulk koi
peshawar me kitni maaen wo roin
mere mulk ko gaaliyan na do koi!!

hitler bhi tou azaab tha yahoodion pe?
kya pura germany bhara dehshat gardon se?
hame bhi wehshat hoti hai jab bomb phate
dehshat gardon ki roohen naraz j-smon se

awaaz neeche, hum ek zameen ke
nazara soch, zabardast rangeen yeh
nabi pak bethe hon saath nanak ram ke
kya ek doosre pe uthaate wo eenten?
theek hai bhae, nadir yeh munaafiq hai
bigaaren loag wo tu bole nalaik main?
wo khule aam karen gunah huh tu bole zaati hai?
iqrar ul hassan, jurm kholne ka aashiq main

fahashi mein paisa ziada
yeh bhaunken, kamaun main islam ke naam pe?
rabb dil mein, tbhi wo zabaan mein
tarjuma parha nahi quran ka jawaan ne!!

na quaid ka pakistan yeh
rss khaagai gandhi ka hindustan yeh
jo sach bole hind mein wo pro pakistan hai
jo pak me bole sach wo rabb ko qurbaan hai tou

kal maa agar ghar par aae kafan mera
kalma parh kar j-sm ho dafan mera
aabe zam zam chirakdein chaadar pe
aansu tere giren qabar pe na

[chorus]
kal maa agar ghar par aae kafan mera
kalma parh kar j-sm ho dafan mera
aabe zam zam chirakdein chaadar pe
aansu tere giren qabar pe na

kal maa agar ghar par aae kafan mera
kalma parh kar j-sm ho dafan mera
sach pe marna jihaad, shahadat hai!!
aansu tere giren qabar pe na!

[outro]
kal maa agar ghar par aae kafan mera
kalma parh kar j-sm ho dafan mera
sach pe marna jihaad, shahadat hai!!
aansu tere giren qabar pe na!

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...