letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de kaamiyabi - chen-k

Loading...

[intro]

abey yaar chen, yaar yeh bare loag, kya hain yar yeh loag? mujhe bolrahe hain ajeeb mera
kaam, us se kaddu milega aur pata nahi kya naukri me hi kaamiyabi hai, kya karun yar main?

tere saath horaha hai yeh?

tchh haan yaar, mere sath bhi exact yahi scene horaha hai, yeh saare mehmaan or yeh

rishtedaar aake mujhe jab dekhte hain is tarha.. main music wagera banaraha hun to yeh.. yaar

mere liye paisa yaar kaamiyabi.. tchh.. uffo yaar main kya..

[verse 1]

amma kahe main nikamma, wela pehenke pajama
ghar me ese bethega to beta kese khaega khaana?
kese, jorega paise? kese kal tera banega?
gh-r- ka tu ghora hogaya! shadi kab karega?

kia karun main meri zindagi teri meri ajeeb si
raaton ko main uthun, ullu ki tarha aankhen khulin
ghari ka main ghulam nahi, kab hogaya 24 ka?
smjh me nai kis tarha main likhun apna kissa?

huh, dekho rishtedaaron ko zara gaur se
apne beton se ziada inko meri fikar ke paren daure
huh, chaure call me “kia bete ko mili naukri?”
main sochun banke naukar kese milti hai yeh kamiyaabi?

soch!!

8, 10 ghanta kaam zabardasti
kuch bichaare naukar banke khush, mujhe aae hasi
aj kal ki nasal kaunsi khush andar se?
aj kal ke bare loag – lagen mujhe bandar se!

oh sh-t! gusse me mu se kia kehdia?
bare jese bandar, galti se yeh nikalgaya
kia karun tapun main jab sunoon baron ke lecture
degree lekar banja baakion ki tarha naukar

deen ki do teen baaten in ko pata hai
quran inho ne tarjume ke saath kiya parha hai?
hadeeson pe inho ne kiya kabhi amal kia hai?
asal tarjuma azaanon ka kinhe pata hai?

suno, azaanon ko zara gaur se
kaamiyabi bus insaano ko namaazon me
redtube ke bajaae youtube kholo
ghar me bethe bethe cheen se ilm haasil karo

baron ke tanz, cousins ko dekh ke
main sochun dirhams kese logon ko lapet de
chen besharam se loag yeh pareshaan se
-cough cough- paani peeke aaya jaana na yahan se

[verse 2]

(bell) oh khair, kaun aagaya bataae bagair
pata hai aj kal ki auntian barin churail
(bell) fareed dekh gate pe koi gareeb to nhi?
kisi se busy main yeh baaten thori si zaruri

aj kal mehmaan shaitaan se
maa ko pareshaan karen jaan ke
jaan boochke poochen meri maa se
bete ne ghar me kia diya abhi tak kamaake?

maa meri bichaari pyaari chup (shh) gadhon ke aage
maa ko yeh pata hai chen khush gaanon ko gaake
maa bhi kiya kare bataae kese inko mera scene
baaten gol ghumaake boli apne bete ki sunaaen

mashallah mera beta bara wallah!
50,000 mere bete ki hai tankhua!
aunty ne yehhh touch screen phone nikaala
dekho mere bache ne baharr mulk se bheja tofa!!

nikla khota beta, sochun main kamre me betha
bichaara bistar se 6 baje subah ke utha
chupaake dukh, pehenke tie beta tha banda
aunty ko kia pata yeh tie phaansi ka phanda

so so ke, ro ro ke, office pohancha yeh
do mauke roz dhoonde boss ki taarifon ke
ho hoke khuar dekhe apni ghari baar baar
lari ghari dus ghante beta kahe yaarrrrr..

office ke scene ne lie 6 din
neend bhi poori nai, kab aenge ache din
kyun na naukri chordun secretly
tch nai yaarrr kahan cigrette meri

chen! lage sab ko kameena lekin
chen! rukega kabhi na, ek din
zehen sunne waalon ka khulega
abey gadhon, naukri me gadhe ka lullu milega

[chen-k]

abey yaar soch pthchh uffoo

[soch]
sorry chen.. ab nahi bolungi pakka!

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...