letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de sawaalon mei deemak - borgle

Loading...

yaad, jo karte rehte aapko
toh apke hi sog mei hai doobe
ham the hi bane jo aap se
khwaab, sajaake jo nakaare maine khud se the
kya chubhte the vo pyaar ke bol bahate dil se jo
khwaab, toota mera aaj
mere saath nahi koi
meri zindagi pe daag
jinhe dost maana apna vohi aaj hai khilaaf
ittefaq tera milna tere jaane ke baad jaana ki

chipke sawaalon ke bheetar
chipte ham dukh se bhi kaise
mere “sawaalon mei deemak”
ho chuke jo saalon puraane
taare jo dikhte hai tujhko
chamkе jo toote the kabhi
waade bharosе toh toote par
toota khumaar na tera kabhi

teri kami si rahi, dhunda har kahi
par ye sakoon bhala kyu mila kahi bhi nahi

teri parchai mei sakoon, teri baat mei sakoon
muskaan jo badhaye tere chehre ka noor
cheekh cheekh ke pukare mujhe kaise rahu door mai
teri kami si rahi, dhunda har kahi
par ye sakoon bhala kyu mila kahi bhi nahi
teri bina ye zindagi pal bhar ki bhi nahi
kaise jiyun khayaal mei basti tu hi

chipke sawaalon ke bheetar
chipte ham dukh se bhi kaise
mere “sawaalon mei deemak”
ho chuke jo saalon puraane
taare jo dikhte hai tujhko
chamke jo toote the kabhi
waade bharose toh toote par
toote khumaar na tera kabhi

mujhe pata maine aakhri mai likhni hi thi
sab kardi bayaan kaha chupni ni thi
mujhe auron ki tarah koi bhookh nahi thi
maine chot aisi ab tak bhukti ni thi
aaj fir baje teen, us raat ki tarah
aansu behte khuli barsaat ki tarah
mai bhool jaata sab rahu baat se fana
taaki jee saku aur teri yaad ki tarah

doob ke mai likhu tabhi lage mujhe waqt nahi
bhool ke ni dikhu tabhi dhundhe kismat kahi
gehri gufaon mein jo doobti le jaaye
ab dhundhna mai chahta par pade mujhe fark nahi
saans meri rukti ni
thamti na jamti hai
baat meri sunti ni
gam ki aag jalti hai
f–kte hi rum peeli
saans meri chalti rahe
dukh mei ni kahu
ye baat mere mann ki hai
teri kami reh g-yi
dhundhi har kahi!
par ni dikhi sambhaalu mein
khudko hi abhi!
teri kami si rahi dhundha har kahi
par ye sakoon bhala kyu mila kahi bhi nahi

teri kami si rahi, dhunda har kahi
par ye sakoon bhala kyu mila kahi bhi nahi
teri bina ye zindagi pal bhar ki bhi nahi
kaise jiyun khayaal mei basti tu hi

chipke sawaalon ke bheetar
chipte ham dukh se bhi kaise

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...