letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de zamana ho gaya - bella

Loading...

[verse 1]
rakha sabar hun main befikar
main kisi ka hun bhi ya nai na pata
meri zubaan pe aate do naam hai
ek meri maa ek mera shiva
main karta ni rule
main chalta hun saath
ye haath ko aage badhata raha
jahan mere pyaar ne rakhe kadam
un raahon pe taare bichata raha
naa hota afsos kya khoya hai dost
jeet ke jaaunga main mere ghar
abhi pacchis hai meri umer
chabbis mein goa mein hoga ek ghar
satayis mein grammy dilaaunga main
aathais mein rule karunga main world
fan base mera kaafi cult
main karta tsunami ki lehro pe surf
[verse 2]
hai mera desire ek movie
jo mere pe solo ho puri
sunaai deti hai aawaazein
ye kya-kya karaayе aawazein
kya mere liyе ya tere liye
hum khud ko badal nai sakte
hum aa chuke door is haath ko pakadle dost
toh hum bhatak nai sakte
jo karna hai kar jo jeena hai jee
hum khawabo ka murder nai karte
bas ek hi chot se ghayal hai dil
ke hum dono sabar nai rakhte
ab jaani hum samabhal nai sakte
log yahan nazar nai padte
do hafte mein aashiq badalne se
jana is dil ke zakham nai bharte (yeah)
haan main pagal sahi
sach karun sapno ko qayar nai
bas tere ghutno ko tekna nai
kabhi aatma ko teri kahin bechna nai

[verse 3]
mann kare peelun main madheera
bole mujhe heera, jo bhi mera kaam sune
studio mein baje meri veena
jabhi mera sheesha, mere liye raag chune
diya mene sabhi ko istefa
mere liye raaste, mera bhagvaan bune
huye darwaaze jo band mere muh pe toh
bas meri dua bhagvaan sune
maine mere bhaiyo ko wada kara
meri roti ko aadhe se aadha kara
mujhe scene mera ladke uthana pada
bhale ladko ko ghar se uthana pada
main kal marjaaunga, yaad tumhe aaunga
duniya ek tarfa main, ek tarfa ho jaaunga
fir bhi bachaunga, tumko bachaunga
wada kia hai tumse kese naa aaunga
naa lagti ab mujhko koi duhai bhi
tumhai duaaye neendo se jagaayegi
ek gaana fir meri qalam mujhse banwaayegi
tum laakho logo ke sir pe baarish barsaayegi
haan mujhko maalum hai
gussa meri khaami hai
humble hi main rehta hun
meri peeth ke piche chale saajishe
mere haatho main dhaga hai
mene rishto ko dhaago se baandha hai
ye tutta toh aadha hai tu
ye tutta toh aadha main
[chorus]
zamane ki aankho se in aankho ko naa milaye bhi
zamana ho g-ya
zamana ho g-ya
ab khwaahisho ko seene mein dabaaye mere dost
ek zamana ho g-ya, zamana ho g-ya
zamane ki aankho se in aankho ko naa milaye bhi
zamana ho g-ya
zamana ho g-ya
ab khwaahisho ko seene mein dabaaye mere dost
ek zamana ho g-ya
ek zamana ho g-ya

[outro]
zamana ho g-ya
zamana ho g-ya
zamana ho g-ya
zamana ho g-ya
zamana ho g-ya

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...