letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de again - aur

Loading...

[intro]
abhi abhi
abhi tou chalay thay yahin jaa rahe thay
yahin kahin pe khushiyan thi saari, sabhi rastay thay
nayi nayi si dunya basi thi hum hass pa rahe thay
nahi nahi

[pre-chorus]
yeh phir mera dil hosh khonay laga
dil ka mein kya hi karun?
is ko tou aata nahi hai mohabbat chhupana
is se mein kya hi larun?
is ko tou aata nahi hai tumhe bhool jana
phirse hai chahta zakham
phirse yeh chahta hai ab unhi galiyon mei jana
phirse yeh chahta tumhe
phirse yeh chahta hai zakhmon pe marham lagana

[chorus]
sanam
tumhe pyaar ki hai qasam
yeh waada nibhaana sanam
mujhe bhool jana sanam
mujhe bhool jana sanam

[verse 1]
dil bhool gaya hai saari baatein yeh
ek baar tum dohranay ajao
karte hain phirse hum mulaqatein
rona aata hai rooth ke na jao
kya chahte ho tum duur chalay jayein?
meri aankhon ka noor chalay jaye?
kaise guzrein gi bin tere raatein
tum chandni ke saath mei ajao
[verse 2]
suno acha nahi jaana
mohabbat ko yoon thukrana
tum hi pehli mohabbat ho
tum hi ho akhri jaana
mein ghaltiyan karun bhi tou
mujhе achay se samjhana
mein marr jaon ga terе bin
tum mujh ko chhor na jana
suno kabhi
jo yeh dil pukaray tou kya hi karun?
be-rung zamanay mei kya rung bharun?

[pre-chorus]
(yeh phir mera dil hosh khonay laga)
dil ka mein kya hi karun?
is ko tou aata nahi hai mohabbat chhupana
is se mein kya hi larun?
is ko tou aata nahi hai tumhe bhool jana
phirse hai chahta zakham
phirse yeh chahta hai ab unhi galiyon mei jana
phirse yeh chahta tumhe
phirse yeh chahta hai zakhmon pe marham lagana

[chorus]
sanam
theherne lagay hain qadam
mujhe rok lo na sanam
nahi bhool paayeinge hum
nahi bhool paayeinge—

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...