letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de old songs mashup - atif aslam

Loading...

aakaash ka soonapan
mere tanha mann mein
paayal chhankaati tum
aa jaao jeevan mein
saansein dekar apni
sangeet amar kar do
ban jao meet mere
meri preet amar kar do
jag ne chheena mujhse
mujhe jo bhi laga pyaara
sab jeeta kiye mujhse
main har dam hi haara
tum haarke dil apna
meri jeet amar kar do
ban jao meet mere
meri preet amar kar do
honton se chhoo lo tum
mera geet amar kar do

kahin door jab din dhal jaye
saanjh ki dulhan badan churaaye chupake se aaye
mere khyaalon ke aangan mein
koi sapanon ke deep jalaaye deep jalaaye
kahin door
kabhi yunhin jab huyi bojhal saansen
bhar aayi baithe baithe jab yuhin aankhen
tabhi machala ke pyaar se chal ke
chhuye koyi mujhe par nazar na aayе nazar na aaye
kahin door jab din dhal jaye
saanjh ki dulhan badan churaaye chupakе se aaye
yaad hai mujhko tune kaha tha
tumse nahi ruthenge kabhi
dil ki tarah se aaj mile hain
kaise bhala chootengey kabhi
meri baahon mein beeti har shaam
bewafa yeh bhi kya yaad nahin
kya hua tera vaada woh kasam woh iraada

o kehne waaley mujhko farebi
kaun farebi hai yeh bata
woh jisne gham liya pyaar ke khaatir
yah jisne pyaar ko bech diya
nasha daulat ka aisa bhi kya
ki tujhe kuch bhi yaad nahi
find more lyrics at ※ mojim.com
kya hua tera vaada woh kasam woh iraada

shama kahe parawane se pare chala ja
meri tarah jal jayega yahan nahi aa
wo nahi sunta usko jal jana hota hai
har khushi se har gam se begana hota hai
pyar diwana hota hai mastana hota hai
har khushi se har gam se begana hota hai

zindagi ke safar mein guzar jate hain jo makam
woh phir nahin aate
woh phir nahin aate!
phool khilte hain
log milte hain
phool khilte hain
log milte hain yuhi
patjhad main jo phool
murjha jate hain
woh baharon ke aane se khilte nahin
kuchh log jo yuhi bichad jate hain
woh hazaron ke aane se milte nahin
ek baar chale jaate hai jo din raat subah shaam
woh phir nahi aate, woh phir nahi aate
woh phir nahi aate, woh phir nahi aate

yeh jeevan hai, is jeevan ka
yahi hai yahi hai yahi hai rungroop
thode ghum hain, thodi khushiyan
yahi hai yahi hai yahi hai chaon dhoop

main pal do pal ka shayar hoon
pal do pal meri kahani hai
pal do pal meri hasti hai
pal do pal meri jawani hai
main pal do pal ka shayar hoon

kabhi kabhi mere dil me, khayal aata hai
ke jaise tujhko banaya g-ya hai mere liye
ke jaise tujhko banaya g-ya hai mere liye
tu ab se pahle phwaro me bas rahi thi kahi
tu ab se pahle sitaro me bas rahi thi kahi
tujhe zami pe bulaya g-ya hai mere liye
kabhi kabhi mere dil me, khayal aata hai
ke jaise bajati hai shahnaiya si raho me
ke jaise bajati hai shahnaiya si raho me
suhag rat hai ghunghat utha raha hu mai
suhag rat hai ghunghat utha raha hu mai
simat rahi hai tu sharama ke apni baho me
simat rahi hai tu sharama ke apni baho me
simat rahi hai tu sharama ke apni baho me
kabhi kabhi mere dil me, khayal aata hai

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...