letra de ek saal - asthra
tujhko toh yaad hoga aaj ke din kya hua tha
pichle saal pehli baar mujhko tu mili thi
tu wo haseena jisne mujhko mujhse hi churaya
shayad wo pehli baar khuda ne meri suni thi
itra ke tu toh baat kar leti thi mujhse par
mai sochne laga tha kaise pyaar ka zikar
kiya jaaye, ghabrake dil se aayi ek pukaar
keh diya ki aye haseena karta hu mai tujhse pyaar
tune nakara nai, tujhse koi pyaara nai
befizool mein toh tujhpe pyaar mai jatara nai
befizool mein hi tujhko baat ye batara nai
tere baare bina soche ek din guzara nai
socha ki dil ko mere tum sambhal ke rakhogi
socha ki aakhri kadam tak saath mein chalogi
par ab mai tera pyaar nai, tera yaar aur koi
jaa haseena jaane diya tum bhi yaad kya rakhogi
teri yaadon sheher mein thoda sa ghoom loon mai
khuda ke darbaar mein bhi tujhko dhoond loon mai
kaash meri hi tarah, tu bhi mujhko yaad karti
bas chale toh paas aake tera maatha choom loon mai
laut ke aana kabhi geet yeh sunaunga
tumhare liye kuch likha hai tum aao na
kaho toh kabir singh jaise tumko chahun par
tum bhi preeti jaise kabhi pyaar toh jatao na
tere aane jaane ka mujhe toh koi gham nahi
koi bhi gham nahi, mujhko koi gham nai
tere aane jaane ka mujhe toh koi gham nahi
koi bhi gham nahi, mujhko koi gham nahi
koi bhi gham nahi, mujhko koi gham nahi
tere aane jaane ka mujhe toh koi gham nahi
tere dard aur sitam ke liye tujhko chod doon mai
aise bewafai aashiqui toh karte hum nai
sirhane badal, par ek boond barsa nai
tune jo bhi gham diye the seh ke mai toh garja nai
kasam hai khuda ki mujhko tujhse koi gila nahi par
dukh hua yeh jaan ke mere liye tu tarsa nai
khush hoon iss baat se kabhi toh mere paas thi tu
aaj ek saal baad saath dono hum nahi
judayi se tu khush toh dil pe rakhke patthar
kehdu mujhko tere na aane ka bhi toh koi gham nai
koi bhi gham nahi, mujhko koi gham nahi
tere aane jaane ka mujhe toh koi gham nahi
tere dard aur sitam ke liye tujhko chod doon mai
aise bewafai aashiqui toh karte hum nai
haalaki jaanta mai hoon ki mai galat toh nai tha
par koi bhool chook ho g-yi toh maaf karna
hua zaleel mai toh apne khud ke nazron mein
agle saal aaj ke din hi tu mujhko yaad karna
mai jaanta nahi ye gaana tu sunegi ya nai
agar sunegi toh phir chupke thoda roya karna
tere iradon mein agar zulm mujhpe hi hai karna
behtar ye hi hai ki tu laut ke kabhi mat aana
tere aane jaane ka mujhe toh koi gham nahi
koi bhi gham nahi, mujhko koi gham nai
tere aane jaane ka mujhe toh koi gham nahi
koi bhi gham nahi, mujhko koi gham nahi
koi bhi gham nahi, mujhko koi gham nahi
tere aane jaane ka mujhe toh koi gham nahi
tere dard aur sitam ke liye tujhko chod doon mai
aise bewafai aashiqui toh karte hum nai
letras aleatórias
- letra de which way the wind blows - satanic rites
- letra de going down in flames (2023 remaster) - 3 doors down
- letra de woa woa - fabe (fin)
- letra de manualy - youway
- letra de recuerdas (en vivo) - leonel garcía
- letra de moji moji -改- (moji moji -kai-) - みゆはん (mewhan)
- letra de how could i forget - wythough.
- letra de make it up as we go - scarlett burke
- letra de para mí - diciembre 32
- letra de tawkidat (interlude) - felukah - فلوكا