letra de zehni ghulami - ali saffudin
zehni ghulami ka
hai ye anjaam
muflisana zindagi hai hum jee rahe
kar rahe hain ahteraam
jo tukde sarerah humne samete hain unhe
hum samje hain inaam
khud mukhtaari ka parchum jabse choda humne
humpay aayi hai ye sham
najane kab aayegi who roshni
jo leke aayegi mere watan me inqalaab
charo taraf se hoke na umeed mai chala
imdaad jisse mangi thi woh aa nahi saka
mai door usse huwa ya woh mujse hai khafa
dono hi sooratoo mai zakhm mujko hi milla
aaya nahi dua mai mangna mujhe kabi
khali khayaal zehan mai aatey hain har gadi
humd o sana padu toh adoora sa lage
beloos ebadat se meri kya mille tuje
jalte huwe iss shehar se jo lums sa uthe
kafir ki tarha ye sawal poochne lage
jo aah dilse nikli thi woh kyun nahi suni
qurbaniyaan humari kyu nakaam hi rahi
tune hi to kaha tha ki mujhe pukara kar
jabbi huwa kamzoor toh mai aaya tere dhar
khamooshiyun mai doob ke mai jaun ab kidar
khamooshiyun mai doob ke mai jaun ab kidar
najane kab ab aaye gi woh roshni
jo leke aaye gi mere nafs mai inkashaaf
najane kab ab aayegi who roshni
jo leke aayegi mere watan mai inqalaab
ye maan nahi sakta ki tu mojood b nahi
jo na yakeen rakhte hain mai unme se b nahi
takat mujhe milti hain bas tere hi naam se
ab jo mai gir pada hun atta kar mujhe sabar
letras aleatórias
- letra de bad luck and trouble - goldfish
- letra de 200 километров (200 kilometers) - darky
- letra de pornography - terrestrea
- letra de annie liebovitz (kärlekens blandband) - timbuktu
- letra de ela chora - young mascka
- letra de haitians - romilli
- letra de untitled - mc jo (fr)
- letra de zakazy - popek
- letra de per inati - stine
- letra de no hay nada - aurum