letra de fi's interlude - ali raza
[chorus]
ke hum main tum main ab wo pehle wali baat nai hai
hujoom main kharay hain hum par tera saath nai hai
ab kitna likhun tujhpe aur kitna roun tumhe
ke ab naa hai umeed hota intezaar nai hai
haan waapis hum bethe jo sirhaane chaand ke baat to teri hee karenge
haan fiza main mehak jo teri is mehak ko panno main qaid hum karenge
chirta jab mozu-e-zindagi aksar hum has ke kaat hee lenge
par mozu-e-yaar pe aaye jo baat to aansu ye mujhse na thamenge
ke behte hee rahenge inko ek aas hai shayad umeed hai koi
ke hai mere hissay main thori mohabbat teri yaa phir deed hai koi
tere chalay jaanay ke baad se baawafa rahe hain aansu ye mere
haan theher g-ye tabse ye aankhon main aankhon ko mili phir neend naa koi
hum muntazir rahe hain arsay se kat ti hain raatein ab aasron par
jahan hua khatam wo saath wo rishta hum hain un hee raaston par
par hoti nahi khudko manzoor ye baat main dilaasay deta raha hoon
ke raha na saabir main itna ke rochuka hoon main ab faaslon par
haan kabhi na socha tha mene ke dekhunga baarishen tere siwa
haan tu hee sahaaraa tha kese main sahun azmaishein tere siwa
par tu nahi samjhi ye kabhi bhi
wajahen main dhoondta abhi bhi
ke jiyun main kiske liye mujhe pasand nai khwahishein tere siwa
aur dekh main kitna mehdood hoon kitna azaad hoon tere bina
muskurahat ke peeche chupi wo jo gham ki awaaz hoon tere bina
aansu jab girtay in pannon pe bikhra hua saa ek bantaa hai jo
haan sunle main kuch bhi nahi hoon main mehez wo saaz hoon tere bina
raaz hoon tere bina
main khatayen apni bhi maan chuka hoon
zindaan hai kamraa ye mera main sazaayein apni yahan kaat chuka hoon
saweron ki chaahaten khatam hain
haan dhoonda thikana andheron main
main ek khatakaar hoon mujhko to rona hai main to bas raat hee chaahun
[chorus]
ke hum main tum main ab wo pehle wali baat nai hai
hujoom main kharay hain hum par tera saath nai hai
ab kitna likhun tujhpe aur kitna roun tumhe
ke ab naa hai umeed hota intezaar nai hai
ke hum main tum main ab wo pehle wali baat nai hai
hujoom main kharay hain hum par tera saath nai hai
ab kitna likhun tujhpe aur kitna roun tumhe
ke ab naa hai umeed hota intezaar nai hai
letras aleatórias
- letra de dia de festança - os monarcas
- letra de tribo timbalada - timbalada
- letra de bugio de fole solto - os monarcas
- letra de trampolim - elba ramalho
- letra de indiano - elba ramalho
- letra de o rico e o pobre - gilberto e gilmar
- letra de encanto de menina - rick e rangel
- letra de glorificando - eyshila
- letra de don't go - james blunt
- letra de deus o que fazer (part. josé augusto) - sérgio reis