letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de raat din - aleemrk

Loading...

[verse]
raat din lage jeene hai ke chaar din
7 din meri raate guzre aap bin
raat din betha ek hee khayal me
kese ghar chalate honge bete yaha baap bin
choole jalte nahi hai bache schoole parte nahi hai
sab kuch yaad hai beta kuch bhi yaha hum bhoole nahi hai
kyun maara g-ya larka subah subah track pe
baap ko us din pata chala beta galat track pe
pehle hosh kaha tha tarbayat me kyun kami chori?
tarbayat me k-mi chori trigger daba bani bori
jee rahe maslihat me kis ko kis kee fikar ab
tera gawah tera chamcha mera gawah mera rab
mene dekha sab me ghut ghut ke jee raha
tu dhae saal se mohalle me chup chup ke pee raha
hosh pakar beta hosh pakar
1 minute chandi to agle minute yaha kabar
tu bekhabar beta parosiyon ke faako se
tu bekhabar beta naako kee un aankho se
tum planning kar rahe aaj shah re faisal taapo ge
overspeeding jaan gai khuwaab toote maaon ke
me sach bol raha hu to salah pakar
me jhoot bol raha hu to aa ke mera gala pakar
bhale tu aaj mere gaane nahi chala magar
ek na ek din to bolegi ye kala magar
ye mera sheher yaha bina baat ke fire hote
aankho me pani mere honto se hee zahir hote ye mujh se pooche teri zindagi me gum nahi hai?
gum nahi hote to kiya is darje ke shayar hote?
han mujh me phas mat me thak chuka hu baat cheet se
front pe ae ga jo bethta tha last seat pe
thora time tu ne suna nahi kiya larke?
nikal jaunga aage tu phasa rahega haar jeet me
han beta idhar sirf kaam aati samjhdaari
kha ke thokar 100 mene seekh li thi duniyadaari
jaane de tujhe kiya karu gumzada
sun ja ke hasrat agar mere baare k-m pata
abhi se thak g-ya hu duniya me me jeene se
kiya mere ghar ko faida hoga mere peene se?
jawaab hai nahi to kiya karunga pee kar jani
khushiya nahi la paaya to kiya karunga jee kar jani
ye meri zindagani tujhe nahi samjh aani
tu ne sirf dekhi hum ne paali hai ye ramas jani
tujh me nahi samjh jani han thora bara hoja
dikhaiyo paise apne pairo pe jab khara hoga
kasam se raat din me apna nahi sochta
raat din me kasam se ghar ka hee sochta
me khud bhi nahi jaanta me kyun itna sochta
me amdaani pe shayad saalo se boj tha
raaste khatin the hum haadse bhi ginte
faasle na ho to hum karte the minte
kese wo din the han sab mujhe yaad hai
pehle ke muqaable me ziada barbaad hai
kesi ye aas jo poori nahi hoti
seekhte nahi kuch agar doori nahi hoti
me tahajud me girta hu sajde me roz
us ke dar pe khuaish adhoori nahi hoti
me khaata raha dhakke me larta raha haq pe
par kisi ne bhi na is art kee qadar kee
is duniya me kon tera sath dega
jab log dafna ke bhool jaate konsi qabar thi
has ke ye pal sahi guzaare hee nahi
mujhe aansu mile hai sitaare nahi
tujhe lagta hai sab kuch bata chuka me
mene kagaz pe gum to utaare hee nahi

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...