letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de maaya hi toh hai - albaari

Loading...

(verse)

safar ishq ka taweel
main raaston mein bhatak sa g-ya
humsafar hi nikla sang-e-meel
main sacchi manzil ko parakh sa g-ya
dekh liya manzar kameel
rukh-e-yaar mujhe dekh ke chamak sa g-ya
kya badhta do qadam bhi aage
rehbara ko dekh paaon mera zameen pe tham sa g-ya
mit g-yi thi roshni jis aivaan ki
noor-e-jaan dekhe se tujhe bahaar aayi hai uss dil makaan mein
pheeke padg-ye saarey manzar haseen
mahjabeen tujhse khubsoorat hai hi kon iss jahaan mein
mausam khiza ka khatm hua
aalam-e-dil mein aayi bahaar
har sajde ka asar hua
tamanna-e-dil nazron ke saamne khadi hai aaj
adhoori khwaahish muqammal hui
khuda ne poori kardi meri har muraad
na rahi ab bair kisi se
na raha ab kisi se khilaaf
ab toh bas haath thaam ke tumhaara karna chaahe hum ek nayi zindagi ka aagaaz

(chorus)
maaya hi toh hai
yeh zindagi
warna nagawaaron ko
kahaan milti hai itni khushi (×2)

(verse)

munfarid hoke khudse
tujhse qareebi ki
mukhtalif hoke khudse
tujhse nazdeeki ki
aaina gawah hai mera
dekhne g-ya soorat apni
magar usmein jhalki teri thi
behti hawaa payaam de rahi thi
khushboo teri do jahaan mein sar-e-aam beh rahi thi
deedar kar aa har mushkil ko paar karke
meri aankhein mujhe yeh kalaam de rahi thi
teri nazar-e-karam ke haqdaar hain hum
maraz-e-ishq se beemaar hain hum
na karegi koi dawa asar
chaaragar dua-e-ishq ke talabgaar hain hum
karlo umr qaid apne aagosh mein
khata-e-ishq ke gunahgaar hain hum

(chorus)

maaya hi toh hai
yeh zindagi
warna nagawaaron ko
kahaan milti hai itni khushi (×2)

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...