letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de beggar - albaari

Loading...

(intro)

shaayad yahi..
hota sahi..
ke hum miltey… hi nahi
khaanabadoshon..
ke aashiyaaney…
bantey.. hi nahi…

(verse)

chupi band kivaadon ke peeche
mujhe dastakon ka hisaab toh de
chal mat dikha soorat magar
mujhe andar se ek aawaz toh de
accha nahi zaroorat mand ko
dehleez se khaali haath bhejna
daataar iss muflis ko kuch khairaat toh de
na maangoo daulat-o-zar
na maangoo milan ki dagar
bas pad jaaye iss be-kas pe teri ek nazar
toh maan lunga ke muflis ko
duniya ki saari shohrat ho g-yi muyassar
teri deed ke intezaar mein
patta patta bikhar raha ho jiska
main woh shajar
qadeem rishtey ko tumne naya jahaan basaane ke liye kyun kardiya darbadar
na socha ek pal bhi ke lazzat-e-hayaat mein
humaare ishq ke zaiqey ka kya khoob hota asar
maukaparast nikli iss qadar
ke kuch waqt khelne ke baad
tumne kardiya iss dil khiloney ko be-qadar
bas baat itni hi kehni hai jaan-e-jaan tumse
ke band chaar deewaaron ke beech mein
tum kya jaano raaston mein tootney ka asar
ek zamaana guzra hijr ke baad
mushroof thi tum toh kya rakhti khabar
mazloom tha main toh kya rakhta khabar

(bridge)

kami thi mujhmein… hi koi
ya tha waqt ka.. sitam
saarey ehsaas…. dil ke
kyun honey lagey darham… barham

(verse)

mere har ek harf mein zarf hai
toktay nahi ab mujhe bhala kis baat ka harz hai
roothey ho ya kuch bolne laayak rahe nahi
batao iss khaamoshi ka kya garz hai
chaaragar teri wajah se hi mila mujhe har marz yeh
chaarasazi bhaley hi na kar bas kehde ke tu iss naasaaz ka humdard hai
kuch zyaada toh maanga hi nahi maine
mohabbat toh waise bhi har insaan pe farz hai
kaanp raha hun main magar
dil tumhaara kyun sard hai
lagti nahi lag galey ab
seene mein aisa konsa dard hai
bandh g-ya tha tumhaare saath kuch aise
ke aazaad honey ke baad bhi raha saza-yaafta ka asar
tumhare dil ke nikaaley hue, phir aur kahaan hota humaara basar
toh le g-yi yeh huzn-parast hawa humein apne saath bahaa kar
bad-qismati humaari jo phir aa girey dehleez pe tumhari thokar zindagi ki khaa kar

(outro)

shaayad yahi..
hota sahi..
ke hum miltey… hi nahi
khaanabadoshon..
ke aashiyaaney…
bantey.. hi nahi…

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...