letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de shayarii - adii

Loading...

aaj utha aur likhne tha main baitha
poori ho gayi thi shayari
aur khaali reh gaya tha panna

wo mere saamne khade the
aur mujhe koi nahi laga apna

haqqiqat jaanne waale keh gaye the tujhe sapna
jo kabhi na hua apna
wo kehte unhe pasand nahi meri awaaz
aur wo roz sunte mera gaana

kya pyaar hona itna aasan hai, meri jaana?
thoda to mujhe samjhana

sab kuch jaan kar bhi yun anjaan ban jaana
phir wo julfein khol kar dilon se khelna
mera arson baad tujhko izhaar karna
lamhe bhar mein tera mujhko inkaar aana

tera kisi aur se milna
aur mera apne lakeeron se ulajhna

mera yun hi likhne baith jaana
aur tera shayari ban kar khilna
jaana, tum shayari ban kar aana
jaana, tum shayari ban kar aana

main sheh-safed sa hoon
tum mujhme rang bhar dena
main kora kaagaz laaunga
tum siyaahi letе aana

jaana, tum shayari ban kar aana
shayari ban kar aana

tumhare roothne pe main baatеin tha bana raha
tumhare jaane pe, aane pe
ladne pe, manaane pe
har wo ek ada pe ab main likh raha hoon gaana
jo tumhe hai sunaana
bas yahi hai ek tumse baat karne ka bahaana

beshak saans tum le rahi thi
par dhadkan meri chal rahi thi

deedar tera kar raha tha
aur khuda mujhe nazar aa raha tha
khair, teri baat to main khuda se bhi kar raha tha
har ek sajde mein tujhe hi pukaara tha

tera hi khumaar tha jo sar par chadha tha
tere liye to main apne dost se bhi lada tha
khumaar utra to jaana
wahi ek dost saath mein khada tha

tumhare saath aksar main khudko kho raha tha
laazim hai, khoya maine khudko
lekin zaalim hai wo rab
jo na paaya hai tumko

ab ye daastaan main suna raha hoon zamaane ko
koi to aaye bahaane se mujhe bachane ko

gham-e-samandar hai mere dil ke andar
aur wo jhoom rahi hai masti-e-dariya mein

murjhaye is panne ko tum zinda kar dena
bhale baad mein ise chahe jitna jala dena
kichad jaise is zindagi mein
tum kamal ban kar khilna

jaana, tum shayari ban kar aana

koi to usse gham ka bahaana do
bematlab usse meri yaad aa jaaye, aisi wajah do
thaam lo is shaam ko
na dhalne do is raat ko
na jagaao
mujhe kho jaane do, uska hone do

aur kuch din is sapne ko mujhe jeene do
do-chaar baatein likhne do
kaayar pasand nahi
usse mujhe shayar kehne do

is janam mein na sahi
tum agle janam mein phir ek baar aana
main haath lekar aaunga
tum haathon ki lakeer ban kar aana

main naseeb lekar aaunga
tum niyati ban kar aana

is janam mein na sahi
tum agle janam mein phir ek baar aana
main shayar ban kar aaunga
tum shayari ban kar aana

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...