letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de heere - saad khan

Loading...

[verse]
raaton ko soye nai, aankhon k neechay halkay
likhne mein bethun jab, jhapakta k-m ye palkein
warqon pe likkha dard mila jo kaanton pe chal k
murder ki report likkhi jazbaat hue katal thay

hum kal k nahi, hum yahan pe kai saal se
khaye kafi dhokay tabhi rakhne lag-y faasle
akela aya tha na sath laya kaafle
khuda sath maangun logon se na aasre

kese yakeen karun duniya hai ye aarzi
kaghaz pe jo likkheen mainay baaten na wo kaaghazi
sath dena kafi sath dikhne ki koi aas nai
dil se karun kadar jokay/jokhay sath mere aaj bhi

izzat wali baat kaam chahay sath na ho
bhai chara chahay kaam wali baat na ho
haan wo loag jo lagaate phiren teeliyan
main phoonk marun unka dil jalay jese aag ka ho

aap ka jo pyaar uska shukriya
na tha koi sath saara kaam mainay khud kiya
i improve apna music mainay chuk liya
kabhi issay sukh mila kabhi isne dukh diya
par kabhi chaha nahi mainay isko gawana
chorhunga music jab saansen hongi rawana
lag-y kai saal tab shuru hua kamana
kiya inspire kitno k liye bana dawa

na chahte hue bhi apnon k dil torhe mainay
bolay jhoot piyе ghoont kafi korhe mainay
zabaan se chalae dilon pе korhe mainay
music k liye das bees rupay jorhe mainay

ghurbat na thi par ghar se na support thi
waqt aya aesa tha umeed mainay chorh di
halaat aae jinho ne himmat thi torh di
par jispe fida dil ho ussay lete yoon mu morh nai

covid ki takleef mein bhi gaane record kiye
hustle hai beta mujhmein passion bhara bohat veere
lipti jo mushkilon ki torheen mainay zanjeeren
industry koyelay ki kaan mujhse k-m hein heere!

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...