letras.top
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

letra de fam anthem - rcr rapstar

Loading...

yah gaana unke liye hai
jinko mai fan nahin
apna parivar samajhta hun
shayad lafzo se mohabbat bayan na ho paaye
fir bhi koshish kari hai

kabool karna

yahan tak aana khuda kasam lage khwab sa
tum sabke dilo mein banke baitha mai nawab sa
sunke mujhe dilon ko milati hai thandak
kora kagaz bana ab mukammal kitaab sa

kuchh kisse mere se bataye hi na jaate hain
kahe bhi na jaye aur dabaye bhi na jaate hain
mai nacheez kaise karu unka shukriya
jo din raat mere liye sajdo mein aansu bahate hain
mai na koi star
mai choto se chota hu
dekh aapka pyar
zaar zaar mai bhi rota hu
nafrat karne wale kaise lage teri baddua
har waqt inki duao mein mai hota hu

kabhi bhi kisiki baaton mein aake
mera tum saath na chhodna
pyaar ki pakki jo dori ko baandha hai
kabhi tum usse na todna
mai na bacha ab chhayi mujhmein
prem ki khumari hai
j-sm se lekar rooh ki hasti tumhari hai
dil cheer ke fans ko mohabbat dikha dunga
rap scene ka sabko mureed main banaa dunga
aakhri vidai jab hogi duniya se
maa kasam mere gham mein sabko rula dunga

[maa kasam mere gham mein sabko rula dunga]

fan meri jaan mere liye mera pura jahan, aan aan aan
koi nhi jaanta tha inse hai bani pehchan, yeah yeah yeah
fan meri jaan mere liye mera pura jahan, woo woo woo
koi nhi jaanta tha inse hai bani pehchan

wo…………x4

lelo khushiyan meri apne gham de jao
seene se laga ke mujhe choomo paas aao
yeh gaana hai kya aapke pyar ke aage
hun mai mitne ko taiyar meri jaan hi le jao

jeetna chahta tha
haar g-ya to bhi fark nahi
jahan tum na chalo saath chahiye aisi sadak nhi
galti ho jaye koi to kar dena maaf
tumhare roothne se battar yahan hoga koi nark nhi

mere apne mujhe chhod dein
maa kasam koi gam nahin
par jab tumne nazre feri
to samajh lena ham nahin

kaise kahun lafzo mein kitna hi pyar hai
fan nahin mere liye mera sansar hai
ghar mein banaa chuka sabke hi dilon mein
khushnaseeb hoon mila aisa parivar hai
dete raho gali
mai bajata rahu taali
mera pyar hai real
tumhara hate hai jaali
tum fool todo baag ke mujhe dukh nahi
kyunki bana kisi ke dil ka iklauta mai maali

chahne wale pehle mere liye
trophy baad
mujhse zyada khushiyan mile
tumhe karu fariyad
mai na rahu to
mujhe bhool na jana mere rap rakhna amar
mujhe karte rehna yaad, woo

yeh to mohabbat hai aapki
na yeh banda mahan hai
tum sab per jaan to kya
saton janam kurban hai

[saton janam kurbaan hai]

fan meri jaan mere liye mera pura jahan
koi nhi jaanta tha inse hai bani pehchan
fan meri jaan mere liye mera pura jahan
koi nhi jaanta tha inse hai bani pehchan

wo…………x4

letras aleatórias

MAIS ACESSADOS

Loading...